Aloo kay parathay with lehsan ki Chutney
by #Ayesha Wajid
Ingredients
Aloo hasb zarorat
Salt as per taste
Kutti lal mirch 1 to 2 tbsp
Khatai powder or lemon juice 1 tbsp
Kutta dhanya 1 tsp
Kutta zeera 1 tsp
Piyaz chopped 1 to 2 small bareek kati hoi
Hara dhanya bareek kata hoa adhi gaddi
Hari mirch 5 to 6 bareek kati hoi
Chat masala 1 tsp
Atta hasb zarorat
Ghee for cooking
For chutney
Sabit lal mirch 8 to 10
Lehsan sabit 2 pothi
Salt 1 tsp
zeera powder 1 tso
Pani hasb zarorat
Method
Sab se pehly Aloo k chilka utar ker boil kerlain. chilka utrany se boil jaldi hongy or aloo msi pani jazb nahi hoga jab aloo boil hojain to kuch pani khushk kernay k lye chalni mai rakh dain.
Ab normal ata gondh lain namak or 1 tbsp ghee shamil ker k. Boiled aloo mai tamam masalay or piyaz,dhanya or hari mirch shamil ker k achi terhan mix kerlain ab atay k double size pera bna ker aloo beech mai rakh ker halkay hath se paratha bail lain zarorat k mutabiq khushki lgatay rahye kuch log do roti bna ker beech mai aloo bhar k paratha bnatay hain.ye tareeqa bhi asan hai mgr mere tareeqay se paratha bnanay mai mazadar banta hai or kurkura bhi jisko jaisa pasand ho wo us terhan bna sakta hai. Taway ko achi terhan garam ker k paratha dono taraf se saink lain phir hasb zarorat ghee dal ker paratha fry kerlain.
Chutney k lye sabit kal mirch or lehsan ko dho ker grinder mai pani k sath pees lain zada pani nahi dalaye ga warna chutney boht patli hojy gi phir namak shamil kerlain or pisa hoa zeera bhi dal dain garam garam parathon ko dahi lehsan ki chutney or sirkay wali piyaz k sath tanawal farmain.
Lehsan ki chutney fridge mai rakh ker istemal kerain.
Sill per bhi pees saktay hain maza dobala hojy ga.
Tags:
Daal / Sabzian / Karri